ho ke mehmaan mohamed ka nawasa aaya
dashte khoon khaar mein lakhte dil e zehra hai
tum muslaman ho dar o baam charaghan na karo
shaamiyon lut ke mohamed ka gharana aaya
ho ke mehmaan...
kufiyon sharm se aankhon ko jhukaye rakhna
nange sar hyder e karrar ka kunba aaya
ho ke mehmaan...
shaah ne khaynch to li seena e akbar se sina
saath lipta hua barchi se kaleja aaya
ho ke mehmaan...
khoon mein doobi hui akbar ki jawani dekhi
haye aaya bhi to kab qasid e sughra aaya
ho ke mehmaan...
jo ke guzri ali asghar pe wo roodad na pooch
haye pyasa lab e darya se bhi pyasa aaya
ho ke mehmaan...
qaid khaane mein sada girya e zaari ki hai
tauq o zanjeer ko sajjad pe rona aaya
ho ke mehmaan...
ahmed o zehra o hyder ko hassan ko shaah ko
hurmala teer se kis kis ko na tadpa aaya
ho ke mehmaan...
raah guzaron ye sada girya e zehra ki hai
kaun bemaar ye zanjeeron mein jhakda aaya
ho ke mehmaan...
qaid kar ke sar e bazaar phiraaya unko
jin ke ghar hi se musalmon mein parda aaya
ho ke mehmaan...
raah takti rahi bacchi ka jigar thaam ke maa
khoon mein dooba hua baysheer ka laasha aaya
ho ke mehmaan...
kahin bano kahin zainab kahin lipti hai rabab
ek qayamat liye aaghosh mein jhoola aaya
ho ke mehmaan...
haye us bibi ki meinoos nigahein shamsi
laut kar jis ka chacha aur na baba aaya
ho ke mehmaan...