Sitam raseeda falak ki sataayi hu'n naana
Zameene karbobala se mai aayi hu'n naana
Jale qayaam hui qaid chin gayi chaadar
qadam qadam pa museebat uthaayi hu'n naana
Ye waardaate safar muqtasar hai sunleeje
Hussain mar gaye mai lut ke aayi hu'n naana
Khuda ki raah me akber se laal ko dekar
mai apni saari bazaa'at lutaayi hu'n naana
Mai kya bataau'n jo ummat ne qadr daani ki
rasan ke neel gawaahi me laayi hu'n naana
Sitamgaro'n ne rida bhi na rehne di meri
Mai sar ke baalo'n se muh ko chaapayi hu'n naana
Mai qatl gaah se soughaat aur kya laati
lahu bhara hua kurta mai laayi hu'n naana
Sa'eed qabre nabi kaampne lagi us dam
Kaha jo binte Ali ne nai aayi hu'n naana