Kanz e Aza

Akbar Naujawan

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Javaid Mirza. Lyrics in Roman Urdu.

akbar e naujawan tujhko dhoondun kahan

nauha laila ka tha akbar e naujawan


tere barchi lagi maa ka dil chidh gaya

ab jeeye kis tarha teri dukhiyari maa

akbar e naujawan...


roye ansar o ahle haram kehke ye

aakhri hai ye aks e nabi ki azan

akbar e naujawan...


teri tarha lage har jawan ki sada

dekhti hoo jahan tu dikhe hai wahan

akbar e naujawan...


khat mila aa ke le jao bemaar ko

kyun ho naraaz sughra se ay bhai jaan

akbar e naujawan...


jab pisar ne bulaaya madad ke liye

shaah karte thay girte sambhalte fughan

akbar e naujawan...


sheh ne khaynchi sina kehke jab ya ali

phasliyon se tha baahar dil e bekaraar

akbar e naujawan...


gaysuon waale tujh par phupi ho fida

thi yun zainab bhi laashe pe nauha kuna

akbar e naujawan...


ghash mein pyasi sakina ye kehti rahi

mujhko dilwado bhaiya meri baaliyan

akbar e naujawan...


jab ay mirza ye nasir ne nauha padha

ashk aankhon mein thay lab pe tha ye bayan

akbar e naujawan...