aaj ki shab se lahad hai aur zahra ya ali
kuch wasiyat karti hu sun leejiye ga ya ali
koi dushman deen ka aaye na mayyat par meri aur nikle raat ko ghar se janaza ya ali
is tarah baba ki ummat ne diya pursa mujhe
fatima ka ho gaya chalnni kaleja ya ali
paslio se meri pucho ummate ahmad ka rahan
dard ban kar reh gaya pehlu ka sadma ya ali
aye mere sartaaj har dam rakhiye ga unka qayaal
maine bacho ko mashaqqat se hai paala ya ali
raat ko uth uth ke gar roe to behlaaye zaroor
hai bohot naazuk tabyat mera chota ya ali
aap hai waali meri dena mujhe ghuslo kafan
qabr me bhi aap hi bas mujhko rakhna ya ali