Kanz e Aza

Waqeyaate karbala hum kya

A noha recited by Anjuman e Asghari. Lyrics in Roman Urdu.

Waaqayat e karbala hum kya suaayein aapko

Rote hai mehdi imam har wo din har raat ko

1. Kaisa dulha kaisi dulhan, kaisi ye shaadi huwi

Karbala ke dasht mein ye kaisi barbadi huwi

Shaadi ke ghar me hai maatam, kya sunaayein aapko


2. Girte hai uthte hai sarwar, kuch nazar aata nahi

Laasha e akbar kahan hai koi batlaata nahi

Aagayi’n khaime se zainab, kya sunaayein aapko


3. Tukdhe tukdhe hogaya saara badan abbas ka

Isliye aaya na laasha hazrat e abbas ka

Maraya hai shere haider, kya sunaayein aapko


4. Ab bacha koi nahi hai haathon par besheer hai

Paani ke badle me dekho hurmula ka teer hai

Chid gaya hai halq e asghar kya sunaayein aapko


5. Baad e sarwar zainab o kulsoom par mushkil ye thi

Ghash me the wo abid e muztar, behan sholo me thi

Jal gaya bachchi ka kurta, kya sunaayein aapko


6. Jalti reti par litaaya asghar e masoom ko

Na mila ek boond paani asghar e masoom ko

Reh gaya bachcha tadhapkar , kya sunaayein aapko


7. Jo khuda ke hai wo bande, matam e sarwar me hai

Murtuza tu hind me hai, aur ye dil karbal me hai Phir bulalo jald moula, kya sunaayein aapko

Kalaam : Janaab Murtuza Ali Sahab