ro ro pukari bali sakina
ammu ghar aaja'iye
baba jab se ran ko sidhare
baithe hai dar par aas lagaye
pani ab tak aap na laaye
itna na ab tadpa'iye
ammu ghar...
akbar bhai ran se aao
gham ki maari se mil jaao
behna ko apna haal sunao
surat aake dikha'iye
ammu ghar...
raaq hue sab qaime jal kar
maare tamache shimr ne aa kar
jal gaya hai hai bhaiya ka bistar
zulm se humko bacha'iye
ammu ghar...
soona jangal raat hai kaali
kaun karega ab rakhwali
godi amma ki hai khaali
asghar ko le aa'iye
ammu ghar...
doob gaye sab chand aur taare
akbar aur asghar gaye maare
dukhiya maadar kis ko pukare
zulm se sab ko bacha'iye
ammu ghar...
ek bhai bemaar pada hai
us par bhi ye zulm o jafa hai
tauq-o-salasal may jakda hai
qaid se usko chuda'iye
ammu ghar...
kooch ki hoti hai tayyari
aayi mehmil aur na amari
be-parda hai aal ye saari
raste se sab ko hataiye
ammu ghar...
sadqe mai aal aur quran ke
saaye may is qaumi nishan ke
door rahe gham saare jahan ke
anjum ko bhi bacha'iye
ammu ghar...