mohamed ka kaisa gharana hai dekho
shah e deen ko jangal basana hai dekho
hai akbar ka laasha pada ran may logon
kisi ghamzade ko uthaana hai dekho
shah e deen ko jangal basana hai dekho
mohamed ka kaisa...
bhara ghar lutaya hai emaan ki khaatir
abhi tak ye rota zamana hai dekho
shah e deen ko jangal basana hai dekho
mohamed ka kaisa...
qayamat hai yasrab ki godhi ke paale
kata kar gala deen bachana hai dekho
shah e deen ko jangal basana hai dekho
mohamed ka kaisa...
na tha tujhko laazim sawaar e mohamed
muqaddar may laashe uthaana hai dekho
shah e deen ko jangal basana hai dekho
mohamed ka kaisa...
kata kar ye pyasa gala zer e khanjar
ye emaan ki hujjat jataana hai dekho
shah e deen ko jangal basana hai dekho
mohamed ka kaisa...
maray jo mohabbat may aale nabi ke
hai jannat may uska thikana hai dekho
shah e deen ko jangal basana hai dekho
mohamed ka kaisa...