Kanz e Aza

Imam e Zamana

A manqabat (2026). Lyrics in Roman Urdu.

👉Imam e Zamana

👉ManqabatKhwan: Mesum Abbas


👉Mixing/Arrangement/Mastering: Zain Yaqoob (ZDS Studios)


👉DOP: Saroj Bunty (Saroj Studios)

👉1st AD: Shabbir Ali Rizvi (USA)

👉Editor & Post Production: Ali Arman Baltistani (Tna Records)

👉SEO Management / Coordinator / Cover Art: Yawer Damani (YAD Graphics)


— Lyrics —


Ghulamon ki nazrein tumhein dhoondti hain

Bata do thikaana Imam-e-Zamana

Hamare liye hai baghair aap ke yeh jahan

Qaid-khaana Imam-e-Zamana


1.Zara al-‘ajal ki sada ko asar do, humein apne aane ki kuch to khabar do

Kahan tak humein aur furqat ke gham mein

Hai aansu bahaana Imam-e-Zamana


2.Yeh dil chahta hai ke ab aap aayen, jo haalat hai sab rubaru hum sunaayen

Karen behte paani pe likh likh ke kab tak

Areeza rawaana Imam-e-Zamana


3.Bohat zulm har simt barhne laga hai, faqat be-gunaahon ka khoon beh raha hai

Zaroori bohat ho gaya hai tumhara

Zamaane mein aana Imam-e-Zamana


4.Sada tum ko deen-e-Nabi de raha hai, yahan waqt ka phir Yazeed aa gaya hai

Chale aao ghaibat ka parda utha kar

Hussain-e-Zamana Imam-e-Zamana


5.Suna hai ke koi jazeera hai aisa

Jahan baith kar tum chalaate ho duniya

Ke pohancha do ab us jazeere ki had mein

Hamara safeena


6.Hasad, bughz o keena, riya-kaariyan hain, hamare amal ke sabab dooriyan hain

Jo hum saaf-dil hon to ho jaaye mumkin

Tumhein dekh paana Imam-e-Zamana


7.Khataein hamari jo hain bakhshwa do, humein jaisa tum chahte ho bana do

Gunahgaar ko bhi karam baantta hai

Tumhara gharana Imam-e-Zamana


8.Yeh dil saari duniya se toota hua hai

Tumhare siwa kaun ab aasra hai

Sunaayen na tum ko to kis ko sunaayen

Yeh gham ka taraana Imam-e-Zamana


9.Tumhare bina muddatein hain guzaari

Tum aao na aao yeh marzi tumhari

Hilaal aur Maysam ka hai kaam tum ko

Musalsal bulaana Imam-e-Zamana