aa rahi hai yehi har matami seene se sada
hashr tak jaari rahega ye ghame karbobala
ya hussain ya hussain ya hussain
saaya-gar apne saron par hai alam ghazi ka
hum azadaar hai hum par hai karam ghazi ka
gham manayenge isi tarha se hum ghazi ka
kiski himmat hai ke is gham se hamein roke bhala
ya hussain ya hussain ya hussain
aa rahi hai yehi har...
jis ki taqdeer mein shabbir ka matam hoga
us ko dunya ka na mehshar ka koi gham hoga
wo to nabiyon ki bhi nazron mein mukarram hoga
us ko bakhshish ki sanad dega nussairi ka khuda
ya hussain ya hussain ya hussain
aa rahi hai yehi har...
ek din sab ko shifa degi shifa ki khushboo
ek din aayegi har dil se wafa ki khushboo
ek din chaar soo mehkegi azaa ki khushboo
ek din aayegi har ghar se ye matam ki sada
ya hussain ya hussain ya hussain
aa rahi hai yehi har...
deen par hai tera ehsaan mere maula hussain
tu hai islam ki pehchaan mere maula hussain
tujhpe qurban meri jaan mere maula hussain
tere sadqe mein mili deen e mohamed ko baqa
ya hussain ya hussain ya hussain
aa rahi hai yehi har...
tere lashkar ka alamdar hai wo sher e jari
jis ki haibat se larazta hai ajal ka dil bhi
dhoom kaunain mein hai jiski wafadari ki
jis ne pani pe likha pyaas se quran e wafa
ya hussain ya hussain ya hussain
aa rahi hai yehi har...
mai hoon ek khaadim e sarkar e shahenshah e wafa
naam gohar hai mera aur ye daawa hai mera
paak paakeeza lahoo jis ki ragon mein hoga
us ko matam mein bhi aayega ibadat ka maza
ya hussain ya hussain ya hussain
aa rahi hai yehi har...