Kanz e Aza

Roke Zanjeer Pukari

A noha for Zain-ul-Abedeen (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

roke zanjeer pukari ke ye kaisa hai safar

qaid jab hoke chala sayyede waala ka pisar


raasta kaisa ye dushwaar hai kat'ta hi nahi

khaafla bekas o mazloom ka rukta hi nahi

paon sajjad ka zakhmi hai to uth'ta hi nahi

khatm hoti nahi ay shaam teri raah guzar

roke zanjeer pukari...


phir sajjad ko saaye se utha dete hai

aankh lag jaye to zanjeer hila dete hai

kahin ruk jaye to durro se saza dete hai

bemaar hua jaata hai sab khoon may tar

roke zanjeer pukari...


bunta hi raha gham ke wo taane baane

aayi sajjad ko maqtal ki hawa batlaane

ab sukoon paaun kahan jaake khuda hi jaane

kaise hogi meri sughra ko madine may khabar

roke zanjeer pukari...


natawani ka ye aalam hai ke chalna hai mohaal

binte zehra hai pareshan to sakina hai nidhaal

haye asghar ki judaai se hai laila be-haal

lab pe hai maadar e baysheer ke haye asghar

roke zanjeer pukari...


taabe har cheez imamat ke hua karti hai

rehbar e haq ke ishare pe chala karti hai

jisko dhaare pe baha de wo baha karti hai

aur agar rok de hat jaye zameen ka mehwar

roke zanjeer pukari...


qaid khane may sakina ne bhi dam tod diya

apna rishta shahe mazloom se bhi jod liya

ashk baatil ki hawaon ka bhi rukh mod diya

haye zindan may gayi jaan se wo ghut ghut kar

roke zanjeer pukari...