Kanz e Aza

mera imam hussain

A noha for Imam Hussain (a.s) (2024). Lyrics in Roman Urdu.

Imam Hussain Imam x4

Sab ko khabar ha sab ko pata hai Phir bhi hai lazim

Yaad dilana Yaad dilana

Ya Hussain

Ho chuka hai faisla Hussain Imam Hussaina

Sab ne yehi kah dia Hussain Imam Hussaina

Aisa zamany main koi aa nahi sakta


Kon hai wo badshah haan mera imam hussain

Kon hai wo badshah haan mera imam hussain


Aisa zamanay main Koi aa nahi skta


Kon hai wo badshah haan mera imam hussain

Bol Imam hussain Imam hussain Imam Hussain

Mil kar kaho momino mera hai mera hussain

Har qoum ki hai sada apna hai apna hussain


Pak Muhammad ka nawasa mera moula

Haider e karaar ka beta mera moula

Kitno ki dharkan ma darakta mera moula

Kitno k ghar ka hai ujala mera moula


Naaz e Ali murtaza Hussain imam Hussaina

Jaan o Dil e Fatima Hussain imam Hussaina

Shan e Hussain aur koi jaan nhi sakta


Waris e SalleAlaa Han Mera Imam Hussain

Waris e SalleAlaa Han mera Imam Hussain

Bol Imam Hussain Imam Hussain Imam Hussain


Mera wird e zubaan Rahat e Jaan Mola Hussain

Mera dil hai mera sara jahaan Mola Hussain

Imam Hussain Ya Hussain

Karbobala Saltanat Ishq E Khuda hai


Syed o sadaat ki mehnat ki silaa hai

Jab se qadam Aal e Muhammad ne rakha hai

Khak ki is shehr ki ab khak e shifa hai

Wali e Karbobala Hussain Imam Hussaina


Waris e Khak e Shifa Hussain Imam Hussaina

Kisne banaya issy Jannat ka nazara


Kon hai wo rehnuma haan mera Imam Hussain

Kon hai wo rehnuma haan mera Imam Hussain

Bol Hussain Imam Hussain Hussain Imam Hussain

Mil kar kaho momino mera hai mera Hussain

Har ki qoum ki hai sada apna hai apna hussain


Bad hai na Karbala Ashoor hai Sahra

Samna Lakhon se Bahattar ka howa tha

Kaam wo Shabbir ne phir kar k dikhaya

Aik ne 9 lakh k lashkar ko haraya


Kam bara kar dia Hussain Imam Hussaina

Marhaba Sad Marhaba Hussain Imam Hussaina

Khak ma Batil k iradon ko milaya


Kon tha wo soorma han Mera Imam Hussain

Kon tha wo soorma Han Mera Imam Hussain

Bol Imam Hussain Imam Hussain Imam Hussain


Han mera wird e zuban rahat e jaan Mola Hussain

Han mera dil hai mera sara jahan mola Hussain

Hussain Imam Hussain

Iss tarah Shabbir ne waday ko nibhaya


Rab ki raaza k liye ghar bhar lotaya

Pyary fida kardiye kuch bhi na bachaya

Ishq e khuda kya hai yeh dunya ko bataya

Bol utha sara jahan Hussain Imam Hussaina


Ap sa koi kahan Hussain Imam Hussaina

itna bara kam koi kar nahi sakta


Naam lo wo kon tha Han mera Imam Hussain

Naam lo wo kon tha Han mera Imam Hussain

Bol Imam Hussain Imam Hussain Imam Hussain

Mil kar kaho momino Mera hai mera Hussain

Har qoum ki hai sada apna hai apna hussain


Ap sa rutba To koi paa nahi sakta

Arey ban k Hussain aur koi aa nahi sakta

Aisi misaal aur koi laa nahi sakta

Itni bolandi pe koi jaa nahi sakta


Aik hai bas aik tha Hussain imam Hussaina

Aik rahy ga sada hussain imam Hussaina

Arey koi bhi is baat ko jutla nhi sakta


Kon hai jo chaa gaya Haan Mera Imam Hussain

Kon hai jo chaaa gaya Haan mera Imam Hussain

Bol Imam Hussain Imam Hussain Imam Hussain


Haan mera wird e zuban rahat e jaaan mola Hussain

Haan mera dil hai mera sara jahaan mola hussain

Imam Hussain ya Imam Imam Hussain Ya Hussain

Mola ko sadmo sy guzarty howy dekha


Bhai ko beton ko bicharty howy dekha

Jaan se pyaron ko tarapty howy dekha

Samny gulshan ko ujarty howy dekha

Aah kaleeja tera Hussain imam hussaina


Wah tera hosla hussain imam hussaina

Itny sitam aur koi seh nahi skta


Yaad rahy ga sada haan mera imam Hussain

Yaad rahy ga sada haan mera imam Hussain


Ya Hussain Han mera Imam Hussain


Han mera Imam Hussain


Haye sar e karbobala jisko sakoon mila nahi


Han mera imam Hussain


Jiskaa tu kuch raha nahi jiska tu kuch bacha nahi

Haan mera imam Hussain han mera Imam Hussain

Lakhon se jo daba nahi mout se jo dara nahi

Jiska wo sar kaat ty gaya, kat k bhi sar jhuka nahi


Haan mera imam hussain haan mera imam hussain

Imam Hussain ya Hussain Imam Hussain Ya Hussain

Be kafan imam Hussain ya Hussain

Be watan imam Hussain ya hussain