momino hyder e karrar bulaate hai tumhe
daastan e ghame shabbir sunate hai tumhe
dil e abid ka har ek zakhm dikhate hai tumhe
khud bhi rote hai sar e bazm rulaate hai tumhe
jalte qaimon se jo sholon ki lapak aati hai
shaam ke dasht mein bijli si chamak jaati hai
momino hyder e karrar...
saf e matam hai bapa is mein bhi shirkat ho jaaye
chand aansu jo baha loge ibadat ho jaaye
sar khule aao ke takmeel e mohabbar ho jaaye
is tarha hazrate shabbir ki bayyat ho jaaye
fatema zehra bhi hai sayyed e abraar bhi hai
yehi majlis hai jahan ahmed e mukhtar bhi hai
momino hyder e karrar...
chashme hyder mein hai aansu zara matam kar lo
saf azadaar ki is bazm mein qaayam kar lo
jo ta'alluq hai nabi zaadon se mohkam kar lo
ghame shabbir ko har haal mein mehram kar lo
ya hussain ibne ali ibne ali kehte raho
ashk ban ban ke sar e karbobala behte raho
momino hyder e karrar...
dekho shabbir ka kuchla hua laasha dekho
nanhi si qabr mein asghar ka janaza dekho
ali akbar ka ubalta hua seena dekho
kitna majboor hai saqqa e sakina dekho
bhai ne paayi shahadat raha tanha bhai
pyaas ay hussain ali asghar ki na bujhne paayi
momino hyder e karrar...
majlise shaam e ghariban hui barpa logon
bekafan soti hai laashe dil e zehra logon
teen din hogaye pyasi hai sakina logon
ab to do zainab e dilgeer ko pursa logon
kis khadar aale mohamed pe sitam toote hai
zaalimon ne badi shiddat se haram loote hai
momino hyder e karrar...
kahin yaseen kahin taaha ki tajalli un mein
kahin rehman o muzammil ki tashaffi un mein
kahin kausar kahin asraa ki ta'alli un mein
kahin tatheer ki pur noor tasalli un mein
naam hum kaun sa le saikdon naam unke hai
aarzoo jinka nahi koi imam unke hai
momino hyder e karrar...