Kanz e Aza

Karna Hai ya Hussain

A noha written by Akhtar Abbas Zaidi. Lyrics in Roman Urdu.

wo naaz e kibriya hai wo shaah e karbala hai

zahra ke dil ka chain hai wo hi mera hussain hai


dil mein ashk e hyder ka ek diya jalana hai

karna hai ya hussain


sayyeda ke bachon ka farshe gham bichana hai

karna hai ya hussain


laakh mushkilein aaye gardane bhi kat jaye

fatwa gar daleelein gar aasman se bhi laaye

hum ne apni naslon ko matami banana hai

ya hussain ya hussain ya hussain

karna hai ya hussain...


ye jo pursadari hai munkiro pe bhari hai

ay yazeediyo sunlo karbala hamari hai

rab ke sab khazano mein ye alag khazana hai

ya hussain ya hussain ya hussain

karna hai ya hussain...


tera lahoo rayegaan na jayega

behan ka waada hai ye rang zaroor layega

ye deen ki baqa bina e la ilaah hussain baadshah

ya hussain ya hussain ya hussain

karna hai ya hussain...


aansuon ke baadal se kya ladenge ye jalse

hai nigahe khaaliq mein ye roz e awwal se

ek taraf hussaini hai ek taraf zamana hai

ya hussain ya hussain ya hussain

karna hai ya hussain...


mujh gunahgaar pe har dam hai ye inaame hussain

meri har gaam adad karta ha zarghaam e hussain

choom leta hoo jahan dekhta hoo naam e hussain

karbala ashke manast o manam ghulame hussain

jaan se pyari meine ishqe wila hi mujhko

ye sila maa ki tahaarat se mila hai mujhko


sangaton ke lashkar hai kya ghazab ke tewar hai

ye nishane matam hi matami ka zewar hai

matami julosson ki shaan faatehana hai

ya hussain ya hussain ya hussain

karna hai ya hussain...


gham hai ye bahattar ka sayyeda ki chadar ka

karbla mein naize ki nok par kisi sar ka

sayyedon ko is gham ne hashr tak rulaana hai

ya hussain ya hussain ya hussain

karna hai ya hussain...


hashr ki faza hogi masnade qaza hogi

kaun jannati hoga kisko kya saza hogi

sayyeda ne akthar ye faisla sunaana hai

ya hussain ya hussain ya hussain

karna hai ya hussain...