Kanz e Aza

Ye Raaz Faash

A noha written by Mazhar Jarchvi. Lyrics in Roman Urdu.

pehna hua hai kufr ne islam ka libaas


ye raaz faash kar gayi solah pehar ki pyaas

allahu akbar allahu akbar


jab zulm o jaur se hui maqlooq bad hawaas

karbobala mein goonji ye awaaz e haq shanaas

haq baat kehne waalon ko kya khuaf kya hiraas

kyun ke pehna hua hai kufr ne islam ka libaas

ye raaz faash kar gayi...


farmeina sheh ne apni to manzil hai muqtasar

bemaar e karbala tera taa shaam hai safar

sajjad beridayi e zainab qubool kar

kyun ke pehna hua hai kufr ne islam ka libaas

ye raaz faash kar gayi...


ab jang hogi deen e payambar ke waaste

akbar mitenge khaaliq e akbar ke waaste

nehre furaat tadpegi asghar ke waaste

kyun ke pehna hua hai kufr ne islam ka libaas

ye raaz faash kar gayi...


momin ke waaste to yehi din hai roz e eid

akbar mera shaheed ho asghar bhi ho shaheed

paida na hone doonga koi hashr tak yazeed

kyun ke pehna hua hai kufr ne islam ka libaas

ye raaz faash kar gayi...


baatil ke aage sar na jhukaunga zeen haar

nayib rasool ka nahi hota hai baadakhwar

mai hoo janabe ahmed mursal ki yaadgaar

kyun ke pehna hua hai kufr ne islam ka libaas

ye raaz faash kar gayi...


daur e yazeed koson hai insaniyat se door

baatil ka ye tareekha hai haqqaniyat se door

kasrat hamesha rehti hai wehdaniyat se door

kyun ke pehna hua hai kufr ne islam ka libaas

ye raaz faash kar gayi...


islam ko shahadat e shabbir chahiye

taqdeerein bhi badalti hai tadbeer chahiye

islamiyat ko halqa e zanjeer chahiye

kyun ke pehna hua hai kufr ne islam ka libaas

ye raaz faash kar gayi...


mazhar ye kis liye haq o baatil mein jang hai

hairat kade mein aalam e islam dang hai

baad e nabi zamane ka kuch aur rang hai

kyun ke pehna hua hai kufr ne islam ka libaas

ye raaz faash kar gayi...