yun bhi karte hai juda quran ko tafseer se
jis tarha shabbir bichda zainab e dilgeer se
jao behna ab tumhari jang hoti hai shuru
be-kafan bhai ye bola be-rida hamsheer se
yun bhi karte hai...
khaak par likhti gayi hai karbala ki daastan
jo lahoo ki dhaar nikli gardane shabbir se
yun bhi karte hai...
padh ke khat sughra ka maula ro diye ke kya kahun
mustufa ki khoon mein doobi hui tasveer se
yun bhi karte hai...
nanhi si chadar na lut'ti to tujhe deti kafan
yun sakina keh rahi thi laasha e baysheer se
yun bhi karte hai...
saani e zehra ne logon aap hoke be-rida
deen par saaya kiya hai chadar e tatheer se
yun bhi karte hai...
jafari khaayam namaz o roza o haj o zakat
aaj bhi hai murtuza ke khoon ki taseer se
yun bhi karte hai...