nikla hai janaza koi allah ke ghar se
aflaaq mein ek shor hai matam ke asar se
afsos ke masjid mein namazi gaya maara
kuch kam nahi ye hashr qayamat ke asar se
nikla hai janaza koi…
shabbir ko yaad aagayi khud apni sakina
zainab ko hataya gaya jab laashe padar se
nikla hai janaza koi…
abbas zara zainab e muztar se khabar daar
faryad mein hat jaaye na chadar kahin sar se
nikla hai janaza koi…
yaad aagaya zainab ko wo pehlu e shikasta
rumaal hataya gaya baba ke jo sar se
nikla hai janaza koi…
zainab se ye kehdo ke wo dil khol ke roye
shabbir ki hamsheer hai rone ko na tarse
nikla hai janaza koi…
haan bhool na jaane inhe kufe ke makeeno
guzrengi ye shehzadiyan is raah guzar se
nikla hai janaza koi…
as'haab bhi sun paaye na jis bibi ki aahat
sar nange wohi guzregi is raah guzar se
nikla hai janaza koi…