Kanz e Aza

Zindan se Chut Kar

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

zindan se chut kar jo watan jaaiyo zainab

sughra ko meri seene se liptaiyo zainab


kehna ke hussain ibne ali pyasa mara hai

sharbat pe mera fateha dilwaiyo zainab

zindan se chut kar...


maange jo sakina ko kaneezi mein sitamgar

tum minnatein kar ke usay chudwaiyo zainab

zindan se chut kar...


haakim jo sakina ko kafan de to na lena

masooma ko kurte hi mein dafnaiyo zainab

zindan se chut kar...


saqqa e haram tishna dahan qatl hua hai

ye qabr pe abbas ki likhwaiyo zainab

zindan se chut kar...


masoom jo bacche hai unhe doodh ke kooze

asghar ke mere naam pe pilwayio zainab

zindan se chut kar...


chadar ke ewaz baalon se moo apna chupaye

darbar mein haakim ke chali jaaiyo zainab

zindan se chut kar...


hai mujhko yaqeen qaid mein royegi sakina

aate hai pidar keh ke ye behlaiyo zainab

zindan se chut kar...


ehbaab e watan ko mere pani ki sabileen

nazr e shohda dasht mein pilwaiyo zainab

zindan se chut kar...