Kanz e Aza

Zainab Teray Baba ki Jabeen Khon

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

Zainab teray baba ki jabeen khon main tar hai

haider kay alamdar-e-husaini pay nazar hai

1- zainbab kay khullay sar pay hai haider ki nigahain

Yaad anay lagin sham kay bazar ki rahain

aikisiween ramazan ki honay ko sahar hai

2- Shabbair ka dharas has yeh zainab ka bharam hai

Rutba hai yeh ghazi ka kay saqaye haram hai

Dil band hai sarwar ka haider ka jigar hai

3- Soocho tu musalmano kay yeh baat bari hai

haq mangnay zehra saray darbaar khari hai

aye ghairat-e-islam bata, aaj kidher hai

4- woh waqt bhi hoogo kay koi paar na hoga

ghar baar luttay ga magar Abbas na hoga

aur jaye gee bazar ussay, yeh bhi khabar hai

5- ais gham ki muhafiz hain muhib zainab-e-dilgeer

duniya main jo baqi hai azadari-e-Shabbir

yeh fatima zehra ki, duaon ka asar hai