pukari shana hilaake maadar
utho sakina sehar hui hai
na rootho ghamgeen maa se dilbar
utho sakina sehar hui hai
utho ke abbas aa rahe hai
wo bhar ke mashkeeza laa rahe hai
na zulm dhayega koi tum par
utho sakina sehar hui hai
pukari shana hilake…
na koi maarega taaziyane
na aayega ab koi satane
na shimr lega tumhare gohar
utho sakina sehar hui hai
pukari shana hilake…
khafas mein yun humse moo na modo
raho na khamosh kuch to bolo
na paas akbar hai aur na asghar
utho sakina sehar hui hai
pukari shana hilake…
na kamsini mein sukoon paaya
utha hai sar se pidar ka saaya
yehi tha beta tera muqaddar
utho sakina sehar hui hai
pukari shana hilake…
tadap ke furqat mein ab na rona
pidar ke seene pe jaake sona
bulaane aaye hai tumko sarwar
utho sakina sehar hui hai
pukari shana hilake…
na ladkhadaogi raaston mein
rasan bandhegi na baazuon mein
na sar barehna phirogi dar dar
utho sakina sehar hui hai
pukari shana hilake…
pidar se tumko chudane wale
aur humko dar dar phirane wale
na bakshe jayenge roze mehshar
utho sakina sehar hui hai
pukari shana hilake…