bikhre pade hai laashe sehra lahoo lahoo hai
dashte bala mein sheh ka sajda lahoo lahoo hai
lashkar yazeediyon ka qaime jala raha hai
mehboobe kibriya ka wo dil dukha raha hai
insaniyat ka dekho chehra lahoo lahoo hai
bikhre pade hai laashe...
shehzadiyan falak ki qaidi bani hui hai
aur chadarein saron se inke chini hui hai
ba-parda bibiyon ka parda lahoo lahoo hai
bikhre pade hai laashe...
jis dam kate thay baazu abbase ba-haya ke
mashk o alam lahoo mein doobe thay bawafa ke
pyason ki tishnagi par darya lahoo lahoo hai
bikhre pade hai laashe...
ek shab ki jo byaahi deti rahi duhaai
kaisi khushi mili jo ek pal na raas aayi
qasim ka haye ran mein sehra lahoo lahoo hai
bikhre pade hai laashe...
jab ran mein aaye hyder har bibi thi hazeena
kehti thi dada jaan se ro ro ke ye sakina
chipka hua badan se kurta lahoo lahoo hai
bikhre pade hai laashe...
ye cheekhti fazayein deti hai ye sadayein
hai khaak o khoon ki sar par sadaat ke ridayein
aulaad e mustafa ka rutba lahoo lahoo hai
bikhre pade hai laashe...
dushwaar raaste hai manzil kathan hai saari
zakhmon se natawan ke taaza lahoo hai jaari
karbal se shaam tak ka rasta lahoo lahoo hai
bikhre pade hai laashe...