zameen e karbala pe dil tadapta chod aaya hoo
gham e shabeer mein rota bilakta chod aaya hoo
mujhe mehsoos hota hai sar e maidan mein jaise
sakina ko andhere mein sisakta chod aaya hoo
zameen e karbala pe...
zaeefi mein uthaye shaah to laashe ali akbar
kabhi ghirta khabi phir se sambhalta chod aaya hoo
zameen e karbala pe...
dhuwan phaila hua har soo tha us shaam e ghariban mein
mai ek bemaar ka bistar dehekta chod aaya hoo
zameen e karbala pe...
gulu e asghar e baysheer ko haathon pe syed ke
mai ran mein teer e sehpal se ulajta chod aaya hoo
zameen e karbala pe...
shabe ghurbat mein maadar doondti thi gumshuda bache
usay tareek jangal mein bhatakta chod aaya hoo
zameen e karbala pe...
jise maadar ki turbat pe ali shab mein thay le jaate
usay bazaar se din mein guzarta chod aaya hoo
zameen e karbala pe...
sada halmin ki ab har pal mujhe wapas bulaati hai
ali ke laal ko tanha mai ladta chod aaya hoo
zameen e karbala pe...
bohat dushwaar tha karbobala ko alwida kehna
rawan saason ko seene mein atakta chod aaya hoo
zameen e karbala pe...