Kanz e Aza

Baba mujhe lene aagaye hai

A noha for Hazrat Abbas (a.s) (2017). Lyrics in Roman Urdu.

Haye sakina.. haye sakina..

Kehti thi ro roke baali sakina


baba mujhe lene aa gaye hai

zindaa'n ke darr ko khulwa do bhaiyya

baba mujhe lene aa gaye hai..(2)


1. Duao'n mein mere asar aagaya hai

jo manga tha maine idhar aagaya hai

muqaddar ka suraj nazar aagaya hai

andhere gaye kya diyo ko jalana


baba mujhe lene aa gaye hai

zindaa'n ke darr ko khulwa do bhaiyya

baba mujhe lene aa gaye hai..(2)


2. Mere bhai sab khwaab pure hue hai

mere baba zindaa'n ke dar pe khade hai

ye maana jo bhai ke sadmein bade hai

mai sojaungi banke tum na jagana


baba mujhe lene aa gaye hai

zindaa'n ke darr ko khulwa do bhaiyya

baba mujhe lene aa gaye hai..(2)


3. Wo jab muh pe muh rakhke mujhko jagaye

sakina sakina woh kehke bulaye

wo godi mei lekar jo dil se lagaye

mere zakhmi kaano ko unse chupana


baba mujhe lene aa gaye hai

zindaa'n ke darr ko khulwa do bhaiyya

baba mujhe lene aa gaye hai..(2)


4. Ye kaisa yaha'n inqelab aagaya hai

andhera gaya aftaab aagaya hai

mere khat ka khoya jawaab aagaya hai

khushi ka meri kuch nahi hai thikana


baba mujhe lene aa gaye hai

zindaa'n ke darr ko khulwa do bhaiyya

baba mujhe lene aa gaye hai..(2)


5. Mere dil ki dhadkan badhi jaa rahi hai

jo aati nahi thi hawa aa rahi hai

ye kehte hue ab hayaa aa rahi hai

khudara na shimr e laee'n ko batana


baba mujhe lene aa gaye hai

zindaa'n ke darr ko khulwa do bhaiyya

baba mujhe lene aa gaye hai..(2)


6. Bus ik aarzu hai mere bhai sunle

agar koi zanjeer e darr ko na khole

bohot dheere dheere, bohot haule haule

tu ghazi ko aawaaz dekar bulana


baba mujhe lene aa gaye hai

zindaa'n ke darr ko khulwa do bhaiyya

baba mujhe lene aa gaye hai..(2)


7. Jab aayegi zindaa'n mein unki sawari to jee jayegi ye musibat ki maari

sunaungi mai dukh unhe baari baari

kahungi ab aaye ho jaana kahi'n naa


baba mujhe lene aa gaye hai

zindaa'n ke darr ko khulwa do bhaiyya

baba mujhe lene aa gaye hai..(2)


8. Achanak andhero se ek shor uttha to sajjad ne jaake bachhi se pucha

ye tumne sakina koi khwaab dekha

wo boli haqiqat ko mat khwaab kehna


baba mujhe lene aa gaye hai

zindaa'n ke darr ko khulwa do bhaiyya

baba mujhe lene aa gaye hai..(2)


9. Rehan o raza kuch bhi abid na bole

kaha kya kaha mere baba ne tumse

kaha kuch nahi dekh kar ro diye the

pukare bus ab tumko hai saath jaana


baba mujhe lene aa gaye hai

zindaa'n ke darr ko khulwa do bhaiyya

baba mujhe lene aa gaye hai..(2)