al ajal al ajal al ajal al ajal
sun raha hoon sada aa hi jaunga magar
dil mein jadh ka gham liye mai
parda e ghaibat mein hoon
ya imame zamana ya imame zamana
inteqam e karbala ho
parda e ghaibat uthe
aas ye har dam liye mai
parda e ghaibat mein hoon
ya imame zamana...
har shaheed e karbala pe
girya karne ke liye
ashke khoon ka nam liye mai
parda e ghaibat mein hoon
ya imame zamana...
daadi zahra jin se barham
thi unhi ke waaste
jazba e barham liye mai
parda e ghaibat mein hoon
ya imame zamana...
jo kata ke haath ghazi ne
nahi jhukne diya
deen ka parcham liye mai
parda e ghaibat mein hoon
ya imame zamana...
tishnangi masoom zahra ki
mitaane ke liye
aabe chashme nam liye mai
parda e ghaibat mein hoon
ya imame zamana...
chadare zainab ke gham mein
har ghadi sar peet'te
eesa o adam liye mai
parda e ghaibat mein hoon
ya imame zamana...
cheer daale jis sina ne
meri do maaon ke dil
zakhm wo paiham liye mai
parda e ghaibat mein hoon
ya imame zamana...