Kanz e Aza

Hai Yehi Waqt

A noha written by Rasheed Turabi. Lyrics in Roman Urdu.

hai yehi waqt unka daaman thaam le

girne waale ab ali ka naam le


marhabon ke sar pa hai tayghe ali

apna badla subho le ya shaam le

hai yehi waqt...


hai maye hubbe ali kuch tundh o tez

hurr bane jo mastiyon se kaam le

hai yehi waqt...


wo ali ki neend hai hijrat ki raat

har nafas par rab se jo enaam le

hai yehi waqt...


hai abuzar se wila to apne sar

haq parasti ka bhi ek ilzaam le

hai yehi waqt...


kab hai mushkil haq o baatil mein tameez

koi karwat to dil e nakaam le

hai yehi waqt...


ne-mawaddat aadmi mazoor hai

jis tarha jo maani e islam le

hai yehi waqt...


aakhir is chaukhat pe aana hai tujhe

jaane waale ye bhi ek paigham le

hai yehi waqt...


dafn asghar ho gaye sheh ne kaha

mere bacche ab yahan aaraam le

hai yehi waqt...


asre ashoor aayi awaaz e rasool

fatema baazu e zainab thaam le

hai yehi waqt...


qaid khane mein koi bacchi hai dafn

ek amaanat aur mulk e shaam le

hai yehi waqt...


ay turabi muft hai aabe hayaat

maut ke haathon se koi jaam le

hai yehi waqt...