Aaj har ek Azadare Shabbir ke
Hai labo'n par fugha'n Alwida Alwida
Aa rahi hai harek simt se ye sada
Aye Shahe Dojaha'n Alwida Alwida
Ronagein ab gharo'n se chali jaaengi
Fatima Bhi yaha'n ab nahi Aaengi
Har taraf ek udaasi si chhaa jaaegi
Roenge mezba'n Alwida Alwida
Aye Shahe Do jaha'n Alwida Alwida
Tukde tukde Pidar ka kaleja hua
Rann me paamaal Bete ka Laasha hua
Aye Yateeme Hasan Naoshahe Karbala
Qasime Khasta jaa'n Alwida Alwida
Aye Shahe Do jaha'n Alwida Alwida
Deene Ahmed ka seena sipar jo hua
Tere seene me barchhi ka phal reh gaya
LaashTeri Shahe Dee'n se uth na saki
Akbare Naojawa'n Alwida Alwida
Aye Shahe Do jaha'n Alwida Alwida
Teer se pyaas Teri bujhaai gayi
Pushte khaima lahad jab banaayi gayi
Khod kar qabr kaata gaya sar Tera
Asghare bezaban Alwida Alwida
Aye Shahe Do jaha'n Alwida Alwida
Sar Tera Noke Naiza se girta raha
Aur ghode ki gardan me bandha gaya
Tere marne ne Sheh ki kamar tod di
Aye Ali ke Nashaa'n Alwida Alwida
Aye Shahe Do jaha'n Alwida Alwida
Tu har ek gaam par qatl hota raha
Be ridaai pa kunbe ki rota raha
Tauqo zanjeer Tujh ko pinhaai gayi
Abid e Naatawa'n Al Wida Al Wida
Aye Shahe Do jaha'n Alwida Alwida
Daamane Sabr Tujh se na chhoota kabhi
Tu ne Bachcho'n ko Apne na roya kabhi
Binte Zehra aye Aun o Muhammad ki Maa
Tujh siMaadar kaha'n Alwida Alwida
Aye Shahe Do jaha'n Alwida Alwida
Baad qatle Pidar har sitam Sehgayi
Hasrate Dil Liye qaid me Margayi
Lo Utho ja raha hai watan karwa'n
Sheh ki aaraame jaan Alwida Alwida
Aye Shahe Do jaha'n Alwida Alwida
Lamhaye rukhsate mehma'n aagaya
Haq ada mezbaani ka ho na saka
Leke aankhon me ashke aqeedat kaho
Aye Lute Karwa'n Alwida Alwida
Aye Shahe Do jaha'n Alwida Alwida
Kyun na ab ho Ageel ek mehshar bapa
Hamse hote hain rukhsat Shah-e-Karbala
Keh rahe hain Shahinshaahe Kauno Maka'n
Aye Mere mezbaan Alwida Alwida
Aye Shahe Do jaha'n Alwida Alwida