utra jo aasman se mehzar wo shore-o-shin
baitu-sharaf mein goonj uthe syeda ke bain
farmate-the-habib-e-quda shah-e-mashraqain
hussain-o-minni wana min-al-hussain
1. karbobala mein mera pisar mara jayega
pyaasa rahega boond na paani ki payega
ansar-o-aqraba ki yeh laashey uthayega
islam ko bachayega mera yeh noor-e-ain
2. sar sab se aage naize par hoga hussain ka aur bhai be kafan to behan hogi berida
darbar mein yazeed ke jayega qaafila
zainab dayar-e-shaam banjayegi hussain
3. hass kar sahega ye har ek ranjo malal ko
jhule se leke jayega bano ke lal ko
paani magar na dega koi nounehal ko
pyasa hi mara jayega asghar sa noor-e-ain
4. boli yeh sunke fatima zehra dohaayi hai
farte alam se aanko mein tariki chayi hai
baba qaber yeh aapne kaisi sunayi hai
pata nahi hai mera dil-e-dard man chain
5. phir sayyada ne poocha aye taaj-e-sir-e-yaqin
kahiye abul hussain bhi to honge wahi khareeb
main aur aap hongey kaha koi bhi nahi
na main na tum na hongey ali fatahe hunain
6. mohsin yeh sunke fatima zehra huvi malool
rohal amee pukarey ke kehdi jiye rasool
ek qaum qalq hogi ba andaaz bole phool
ta-ba abad jo royegi kehkar hussain-hussain.