sakina se kehte thay maqtal mein sarwar
hai ye aakhri raat soja sakina
meri zindagi mein bhi aaram karle
abhi to meinassar hai baba ka seena
ay jaan e padar mujhko maloom hai ye
tuhje kal se be-dard sone na denge
meri laash e pamaal par bhi sakina
tujhe ye sitamgaar rone na denge
tu jee bhar ke mujhse mulaqat karle
yehi chand lamhe hai meri hazeena
sakina se kehte thay...
tujhe is liye hi to maanga tha maine
shabon ki namazon mein apne khuda se
ke meri mohabbat ka jab imtehan ho
judaai teri mai sahun karbala se
karun sabr teri yateemi pe mai bhi
kare sabr maqtal mein tu bhi sakina
sakina se kehte thay...
ye raunaq bhi kal shaam tak hai sakina
ke bad jayegi teri tashna dahani
tera bhai asghar to pyasa rahega
dikha kar tujhe shimr phekega pani
meri tashnagi yaad karlena beta
ke raahon mein jab bhi kabhi pani peena
sakina se kehte thay...
safar ki thaki hai kuch aaram kar le
ay shehzadi ye raat dhalne se pehle
ye seena bhi pamaal hojayega kal
katega gala dam nikalne se pehle
mujhe be-khata qatl hona hai ran mein
meri laal ab mera mushkil hai jeena
sakina se kehte thay...
inhe ye khabar hai meri laadli hai
tujhe bhi satayenge ye shaam waale
tujhe zulm sehne hai in zaalimon ke
tujhe kar raha hoo khuda ke hawale
bahot mushkilein hongi ashoor ke din
musibat mein ye ghir gaya hai safeena
sakina se kehte thay...
ghareeb ul watan ki yehi aarzoo hai
phupi ki tarha zulm par sabr karna
tujhe dekh kar log aansu bahaye
yateemi ko lekar jahan se guzarna
tujhe kufa o shaam ke raasta mein
bahot yaad aayega shehr e madina
sakina se kehte thay...
zafar dayr tak shaah e deen aur sakina
shab e gham mein karte rahe aah o zaari
wo baap aur beti ki ruqsat ka manzar
dil e karlbala par hai ye zakhm kaari
kahan shaah ki qabr karbobala mein
kahan shaam mein hai mazaar e sakina
sakina se kehte thay...