Kanz e Aza

Aagaye Dashte Karbala

A noha written by Dayam Najafi. Lyrics in Roman Urdu.

baqae la ilaah hussain hai

farmane mustafa hai ye qaule rasool hai

hussaino minni wa ana minal hussain


awwalona mohamed ausatona mohamed

aakhirona mohamed kullona mohamed


aagaye dashte karbala mein ye saare mohamed

kaho salaam ya rasulluah

ye dashte karbala hai ye dashte maarya hai

ye dashte nainawa hai

mohamed haye mohamed

mohamed haye mohamed

suno faryad mohamed


tashnalabon ke lab pe sada wa mohameda

ghayre hue hai fauje jafa wa mohameda

sar pe khadi hai sheh ke qaza wa mohameda

dikhla raha hai waqt ye kya wa mohameda

mohamed haye mohamed...

suno faryad mohamed...


jalti hui zameen pe hai laasha hussain ka

be-gor o be-kafan hai janaza hussain ka

koi nahi hai poochne waala hussain ka

qaidi banaya jaata hai kunba hussain ka

mohamed haye mohamed...

suno faryad mohamed...


zakhmon se choor choor hai sajda hussain ka

jism o sare hussain pade hai juda juda

dooba hua hai khoon mein sehra e karbala

laashe shahe zaman pe hai ghurbat ka marsiya

mohamed haye mohamed...

suno faryad mohamed...


sadmon pe sadme khaate hai sarwar bachaiye

toote hue hai naiza o khanjar bachaiye

umran hua hai shaah pe lashkar bachaiye

zainab nikal na aaye khule sar bachaiye

mohamed haye mohamed...

suno faryad mohamed...


badta hi ja raha hai masayib ka silsila

ab to nahi hai qaime mein abbas e bawafa

dete hai cheekh cheekh ke ye ahle shar sada

ab loot lo qayaam hussain e ghareeb ka

mohamed haye mohamed...

suno faryad mohamed...


zainab pukarti hai yehi roke baar baar

maajaye tujhpe khahare khasta jigar nisar

aankhon ke saamne hai ye manzar jigar figaar

tanha behan hai aur bhare ghar ki soghwaar

mohamed haye mohamed...

suno faryad mohamed...


halqe shahe ghareeb pe khanjar bhi chal gaya

baad e rasool kaise zamana badal gaya

qaima nabi ki aal ka karbal mein jal gaya

bano ka chand dashte musibat mein dhal gaya

mohamed haye mohamed...

suno faryad mohamed...


maqtal mein panjetan ki nishani tamam hai

qismat mein ab aseeron ke bas gham ki shaam hai

ro'o ay momino ye buka ka maqam hai

bedi rasan hai tauq hai laagar imam hai

mohamed haye mohamed...

suno faryad mohamed...


tha dayam o yazdan yehi zainab ka marsiya

maqtal mein bekafan hai janaza hussain ka

zakmon se choor choor hai zehra ka dilruba

rote thay sar ko peet ke sultan e ambiya

mohamed haye mohamed...

suno faryad mohamed...