Kanz e Aza

Aagayi Shaam E Ghareeba

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

Aagayi Shaam E Ghareeba’n

Aagayi shaam e ghareeba'n


Hai bohath Zainab pareshaa'n

Bekafan lashay padhe hai Aur khaimay jal rahay hai Aur khaimay jal rahay hai

Jaal raha hai saara samaa'n


Aagayi shaam e ghareeba'n


Margayeh muslim Kay bachay


Ek dujay say lipath Kay

Ek dujay say lipath Kay


Roti hai sar peeth Kar maa'n


Aagayi shaam e ghareeba'n


Aarsh e azaam Kay sitaray


Khaaq par Zainab kay pyaray

Khaaq par Zainab kay pyaray


Hai padhe ab khoo'n may ghaltaa'n


Aagayi shaam e ghareeba'n


Laashay e akbar pada hai


Maa'n ka Dil para hua hai

Maa'n ka Dil para hua hai


Milgaya mitti may armaa'n


Aagayi shaam e ghareeba'n


Chay mahinay ka hai asghar


Bas abhi sar ko kata kar

Bas abhi sar ko kata kar


Hai pada rati pay nadaan


Aagayi shaam e ghareeba'n


Dekhkar sab rorahay hain


Garm rayte par padhe hain

Garm rayte par padhe hain


Bekafan shah hay shaidaa'n


Aagayi shaam e ghareeba'n


Shumr ke seh seh kay eezaa


Har tamachay par Sakina

Har tamachay par Sakina


Kehte hai ro ro kay amma


Aagayi shaam e ghareeba'n


Kya karay majboor Zainab


Hai ghamon say choor Zainab

Hai ghamon say choor Zainab


Bangayee sab ke neegahbaa'n


Aagayi shaam e ghareeba'n


Luthti hai Parwaaz zainab

Deti hai awaaaaaaz zainab

Jab karbala mein shaam E ghareeba'n hue

Baad E qatale hussain, fouja e aashqa qamo ki janib aane lagi


Zainab ne madine ki taraf rooq kiya

Apne nana rasoo allah ko aawaz di

Nana tere zainab, lutti hai nana

Kabhi najaf ki taraf rooq kiya, aur apne baba Ali ko aawaz di


Baba tere zainab ka koi Madad garna na raha baba

Kabhi baqi ki janib dekha aur aawaz di

Aama zehra, bhai hasan, ye zainab lutti hai aama

Al muqtasar azadaro jab fouje yazeed ne zainab k sar se chadar khanchi zainab ne nehar ki taraf rooq kiya


aur aawaz di abbas mera chadir k muhafiz abbas ye zainab be rida hue aur tum be kafan abbas..