Qalb ki quwwat Ya Abbas
Ya Abbas Ya Abbas
Aankhon ki hasrat Ya Abbas
Ya Abbas Ya Abbas
Honton ki zeenat Ya Abbas
Ya Abbas Ya Abbas
Haathon ki taagat Ya Abbas
Ya Abbas Ya Abbas
Haa'n ye Namaz e Sabro wafa hai
Is ka Mussala farshe Aza hai
Is ki Azaa'n Maatam ki sada hai
Shaam o Sahar har waqt Hamari hai ye Ibadat Ya Abbas
Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas
Zikr Tera Saqqa e Sakina
Deta hai jeene ka qareena
Har toofa'n ka Tuhi safeena
Ham ne pukara jab bhi padi hai Ham pa musibat Ya Abbas
Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas
Tu ne sahara dee'n ko diya hai
Is ke Alam par Naam Tera hai
Parcham me Khushbu'e Wafa hai
Ab ye Alam ooncha hi rahega Teri badoulat Ya Abbas
Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas
Aankh me teer aur qalb shikasta
Katt gaye shaane zakhmi sar tha
Saara badan tha khoon me dooba
Thaame kamar Shabbir ne dekhi ye Teri ghurbat Ya Abbas
Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas
Shimr ke paiham khaaye tamaache
Kaan hain zakhmi gaal hain soojhe
Haay Sakina Kis ko pukaare
Dekhte aakar Tum bhi Sakina ki ye ghurbat Ya Abbas
Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas
Tujh pa ye mushkil sab se badi thi
Haath na the Majboor tha Ghaazi
Kaise gira ghode se Sipaahi
Maa hibataaa sakti hai ek Bete ki musibat Ya Abbas
Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas
Magtal me Laashe bikhre hain
Taareeki hain sannate hain
Bachche sehme dekh rahe hain
Tanha Zainab kaise kare ab Unki hifazat Ya Abbas
Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas
Sholo'n me Sajjad ka bistar
Jalta hai gehwaara e Asghar
Binte Ali ki chhinti hai Chaadar
Ahle Haram par tooti dekho kaisi gayamat Ya Abbas
Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas
Abid hain zanjeer me jakde
Khaate hain har gaam pa durre
Pusht hai zakhmi paaun me chhaale
Kat'ti hai zanjeer se gardan dekho azeeyat Ya Abbas
Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas
So nahi'n sakti pyaasi Sakina
Kaise milega Baap ka seena
Dil me liye armaane Madina
Dafn huwi Zindaane Bala me sehke musibat Ya Abbas
Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas
Sab se bada Ezaaz yehi hai
Jeene ka andaaz yehi hai
Har dil ki awaaz yehi hai
Tera Gham aur Tera MaatamTeriMuhabbat Ya Abbas
Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas
Hain Shabbir ke ham Parwaane
Jin ke Muhafiz hainTere Shaane
Aaye hain taqdeer jagaane
Bharde har Parwaane ki Parwaaz me taaqat Ya Abbas
Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas
Pohnche'nham Karbal ki zami'n tak
Kaaba-e Sabro ilmo Yaqee'n tak
Yaani fazaa-e Arshe Baree'n tak
Ham sab ko ab jald ataa ho ye bhi sa'adat Ya Abbas
Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas
Dil me Rasheed ab hai ye tamanna
Hojaaye Maqbool ye Naoha
Jald dikha de Tera Raoza
Rakh de bheegi palko'n par ab ye bhi Daolat Ya Abbas
Ya Abbas Ya Abbas Ya Abbas