Kanz e Aza

Abbas Abbas

A noha for Hazrat Abbas (a.s), recited by Anjumane Al Abbas(Hyd Ind). Lyrics in Roman Urdu.

hyder e karbala, saqeey e bawafa, afzalushohda

1.abbas shujaat hai , abbas wafa hai, saqay e sakina hai , zainab ki rida hai, abbas fatima aur , hyder ki dua hai.


2.tum jaa rahe ho bhai , bhai ko chord kar, kya hoga bibiyon ka , tujhko nahi khaber, kat jayega mera sar , lut jayega yeh ghar.


3.baba ne jo khuda se , maanga who mil gaya, meri madad ko aye , tum aaj karbala, abbas tumnay mujhsay , wada wafa kiya.


4.aye qhaak e karbala tu , kharon ko hataade, abbas gir raha hai , kaanton ko hataade, so jae woh sukoo se , teeron ko hataade.


5.pyason main aik pyasa , abbas tu raha, nehr e furat par bhi , pyasa hi reh gaya, asghar ko yaad karkay , pani nahi piya.


6. binayi kho gayi hai , kham hai meri kamar

uthkar mai girr raha hoon , karbal ki zami par, tashna labi se mera , patta hai abb jigar.


7.thame hue kamar ko , jab ran mein agaya, ek so pade they bazu , ek so alam tera, ek aank bhi thi zakhmi , maatha bhi khoo bhara.


8.aqa kaha hai tumne , bachpan se hamesha, bhai hoon par mujhe tum , kehte rahe moula, bhai kaho bhai ko , bas hai ye tamanna.


9.tumne toh jung meri , dekhi nahi abhi, asghar ka khoo bahega , sooncha nahi kabhi, bazaar mein phireingay, ahle haram sabhi.


10. kehti hai ye sakina , aye sher e bawafa, aajaiye cha cha jaa , kyun humse ho khafa, maangongi na mai paani , kitni bhi ho jafa.


11. zainab rabab o laila , kulsum o sakina, gash main hai ali akber , ka dekh ke sina, marne se tere bibi , mar jaye kahi na.


12.mayusi cha gayi hai , sab kheimagah mein, umeed abb rahi na , pyason ki aah mein, ek aasera tumhi ho , sab ki nigaah mein.


13.ghamkhar hai na yawar , tanha hai abb hussain, talwaron main gira hai , zahra ka noor e ain, tere baghair bhai , dil ko nahi hai chain.


14.shabbir alqama per , karte hai yeh buka, bazu jari ka lekar , deta hai ye sada , yeh aqtari ka nauha , pardtay raho raza.