Kanz e Aza

Hussainiyo Bade Chalo

A noha written by Salik Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

hussainiyo bade chalo hayaat ko jhinjhod do

sitam shiyaar jo badhe kalaiyan madod do

hussainiyo bade chalo...


ali ka sher aayega to jang bach na payegi

ye keh rahe thay ashkiyan taraai aaj chod do

hussainiyo bade chalo...


hussain ne sagheer se isharon mein ye keh diya

kamaan e zulm cheen lo jo teer aaye tod do

hussainiyo badE chalo...


ye dil se hurr ne faisla kiya lahoo ki raat ko

hussain hi ka saath do sipah e shaam chod do

hussainiyo bade chalo...


lahoo se dasht e karbala ubhal pade abhi abhi

hussain shukr karke tum jo aag thi nichod do

hussainiyo bade chalo...


rasool zadiyaan hai ye jo berida hai shaam mein

hussain qatl ho chuke jafayein ab to chod do

hussainiyo bade chalo...


tadap ke boli mayyat e hussain ibne fatema

madad ko phir uthenge hum jo tan ko sar se jod do

hussainiyo bade chalo...


gham e shaheed e karbala mein badh ke salik e hazeen

jo khoon e dil na ro sake un aablon ko phod do

hussainiyo bade chalo...