Baba Mere Baba
Zindaan mein tha baali Sakina ka yeh nouha
Baba Mere Baba
Is shaam key zindaan mein dum ghut'taa hai mera
Baba Mere Baba
Rudaad sunani hai mujhey Karbobala ki...
Maidaan-e-jafa ki
Wo baajoN ki aawaaz wo bachchoN ka dahelna
Baba Mere Baba
Sar kat tey hi bus aapka tooti jo qayamat
Aafat pa thee aafat
QaimoN ko jalaney key k liye aagaye aa'daa
Baba Mere Baba
Manzar bhi ajab shaam-e-gharibaaN nazar aaye
Hum dekh na Paaye
Paamaal huva saamney phir aapka iaashaa
Baba Mere Baba
KaanoN sey merey cheen liye Shimr ney gouhar
KhooN behta tha aksar
Kistarha kahooN kysa mila aapka pursa
Baba Mere Baba
Roney pa bhi pabandi łagaye thei sitamgaar
Rona bhi tha dushwaar
Jee bhar key nahiN ro sakey hum aapko Baba
Baba Mere Baba
Aansoo meri aankhoN sey tapaktey thei sarasar
so paana tha dubhar Aur yaad thee har gaam pa bus aapki Baba
Baba Mere Baba
Bey yaaro madadgaar samajhkar yeh zamana
deyta raha taana
Har modd pa sadqa liye aajaatey thei aa'daa
Baba Mere Baba
Umeed nahin hai key watan jaaye Sakina
Yaad aati hai Sughra
Mein dekh na paaoungi kabhi behna ka chehra
Baba Mere Baba
Hasrat hai mujhey Baba miley aapka seena
So jaaye Sakina
Aye Moosvi kehti rahi bus baaii Sakina
Baba Mere Baba
Zindaan mein tha baali Sakina ka yeh nouha
Baba Mere Baba