Haye Nana ×4
Haye Nana Tumhari Ummat Ne Kaisa Hum par Ye Zulm Dhaya hai
Sar se Chadar bhi chin Li Nana Hum ko bazaro mein phirya hai
Main Tadapti Hi RehGai Nana aur Sada deti Rahi Gai nana X2
Kund Khanjar Ko Haye zalim Ne Pyase Hukum per chalaya hai
Ghair kar Har Taraf se aada ne kya Bataun sitam kiyea kaise X2
Hum Shabi E Nabi Ke Seene Par Haye Phal barchi ka lagaya hai
Aaiye Shaam E Gareeban jab bun mein Khouf taari tha charsu Runn mein X2
Kaise batlau'n Jalte Qamo se main bimar Ko bachaya Hai
Tauq o langur Pina ke Abid ko le chale hai gareeb zahid ko X2
Behaya Qaardar raho par ek beemar ko chalaya hai
Qaid kar k hume rasan basta saare Darbar legaye aada X2
Tasht mein nanhi ek bachi ko zaqmi sar baap ka dikhaya hai
The Tamashai saare kotho par date the wo Sada Hamen hanskar X2
Hum ko majboor jaan kar nana raha mein har qadam sataya hai
Sab ko zindan mein qaid kar dala aur na tha koi puchne wala X2
Dafan abid ne kar ke Khawahar ko daag ye bhi naya uthaya hai
Neel Dikhlane aayi hu utho kurta bhai Ka lai hun utho X2
Qabar par Mustafa ki zainab ne istarha marsiya sunaya hai
Zulm Ki Inteha Farhan jo thi likh na payega wo Sohail kabhi X2
Teer se hurmula ne maqtal mein khoon E basheer ko bahaya hai
Haye Nana X4