Kanz e Aza

Al Ajal ya Imame

A noha written by Fareed Baig. Lyrics in Roman Urdu.

al ajal al ajal ya imam e zamaan


ya imam e zamaan kaaba e do jahan

de rahe hai sada ye zameen asmaan

hum shabihe nabi de chuke hai azaan

al ajal al ajal...


ay ali ay mohamed ay zehra ki jaan

kitne sadiyon se aankhein bichaye yahan

karbala dhoondti hai qadam ke nashan

al ajal al ajal...


aaiye muntazir hai ye dunya o deen

poochti hai ye karbobala ki zameen

kitne sadiyon ka gham hai abhi darmiyan

al ajal al ajal...


ay hussain e zamaan ay mohamed ki jaan

dekhiye aaj bhi ya imam e zamaan

khoone mazloom se surkh hai aasman

al ajal al ajal...


ay azadare karbobala al ajal

ay alamdare deene khuda al ajal

ay shareek e aza e shahe do jahan

al ajal al ajal...


kaise bhoole wo manzar imam e zamaan

wo zaeefi wo maqtal wo laashe jawan

kya qayamat ka tha karbala mein samaa

al ajal al ajal...


ab bhi ashkon mein hai shaam e gham ka samaa

jalte qaime wo sehra wo uth'ta dhuaan

aaj bhi hai fazaon mein aah o fughan

al ajal al ajal...


ghazi abbas ka waasta aaiye

shaah ki pyaas ka waasta aaiye

dekhiye tashna lab hai abhi bezuban

al ajal al ajal...


asr e ashoor shaam e alam ki qasam

zulm thamta nahi aaj bhi hai sitam

apne parcham ke saaye mein dije amaan

al ajal al ajal...


tashnagi dhoop sehra wo rayg e tapan

zer e khanjar wo sajda wo zehra ki jaan

thi sar e karbala maa ki aah o fughan

al ajal al ajal...


ek nigaah e karam ya imam e zaman

nasir e ibne zehra hai ye anjuman

hai areeza hamara ye ashk e rawan

al ajal al ajal...


ay shabihe rasool e zaman al madad

al madad ibne khyber shikan al madad

hai fareed aaj sab ke ye wirde zuban

al ajal al ajal...