Ghar ko chodha shaah ne jungle basa ne ke liye
karbala me aaye the jannat me jaane ke liye
Zohr ko zainab se jab milne gaye ghar me hussain
koi dyodi par na tha parda uthaane ke liye
Sheh uthe padhkaar namaaze sub'ha mehshaar ho gaya
Hazrte zainab chalee kapde pin'haane ke liye
kehti thi maa khat mere akber ko tha paighaame marg
Ye jawaani aayi thi goya bulaane ke liye
thi sada zahra ki zainab margaya tera hussain
ghar me jaa beti safe maatam bichaane ke liye