Hai Salaam Us Pe Jo Qaidi Bhi Hai Bemaar Bhi Hai
Paao'n Me Aable Hain Aabloun Me qaar Bhi Hai
Kehta Tha Touq-E Giraan Tu Hai Mere Hisse Me
Warna Is Fouj Me Khanjar Bhi Hai Talwaar Bhi Hai
Poochaa Ek Shaqs Ne Shabbir Tera Kaun Hai
Roke Farmaane Lage Baba Bhi Hai Sardaar Bhi Hai
Pahonche Nazdeek Jo Laashe Ke Sakina Ne Kaha
Yeh Mere Baba Ka Bhaai Bhi Hai Alamdaar Bhi Hai
Pahonche Nazdeek Jo Koofe Ke Toh Boli Zainab
Sar Bhi Uriyaan Hai, Balwaa Bhi Hai Bazaar Bhi Hai
Dum Ruk Jaata Hai Aur Sar Bhi Jhuk Jaata Hai
Touq Yeh Tangh Nihaayat Bhi Hai Garaa'n baar Bhi Hai
Gar Che Beemaar Hoo'n Par Zor-E Imaamat Ke Sabab
Oontt Bhi Khenchta Hoo'n Taaqath-E Raftaar Bhi Hai
Jab Inhe Shimr Nazar Aata Toh Ro Ro Kehte
Yeh Sitamgar Bhi Hai Qaatil Bhi Hai Khoonkhaar Bhi Hai