Karbala se jo kabhi ho ke hawa aati hai
Kisi Masoom ki , rone (hichki) ki sada aati hai
Koun sota hai kanaare tere aye nehr-e-Furaat
Teri mitti se abhi boo-e-wafa aati hai
Maa samajhti hai dulhan laaungi aaya hai shabaab
Sheh samajh te hai ke Akbar ki qaza aati hai
Koi beemar na padhta ho tahajjud ki namaz
Raat ko bediyo'n ki kyu ye sada aati hai
Haa'n dhadakta na ho marqad me kahi'n qalb e Rubaab
Ali Asghar, Ali Asghar ki sada aati hai
Jab kabhi zyada mai beemar jo hota hu 'shaheed'
khud ba khud mere lie qaake shifa aati hai