Kanz e Aza

Khaakar sina jo seene pa akber guzar gaye

A salaam. Lyrics in Roman Urdu.

Khakar Sinaa Jo Seene Pa Akbar Guzar Gaye

Bole Hussain Aye Mahe, Anwar Kidhar Gaye

Peeri Me Ghar Hussain Ka, Barbaad Kar Gaye

Zaqm-E Jigar Se Tum, Shafaq-E Khoo'n Me Bhar Gaye


Gham Se Yeh Haal Hai Ke, Bahot Beqaraar Hoo'n

Awaaz Dou Ke Aan Ke Tumpar Nisaar Hoo'n


Khaakar Sinaa Jo Seene Pa Akbar Guzar Gaye


Aye Zalimou'n Ghareeb Hoo'n, Aur Bedayaar Hoo'n

Are Bhoole Ho Kyu'n, Rasool Ka Mai Yaadgaar Hoo'n

Lillah Mujhpa Rahem Karo, Beqaraar Hoo'n

Are Beta Jawaan Margaya, Mai Soghwaar Hoo'n


Phir Dekhloo'n Us Apne, Saadath Nashaan Ko

Barchi Kahaa'n Lagi Mere, Kadyal Jawaan Ko


Khaakar Sinaa Jo Seene Pa Akbar Guzar Gaye