Hai rukhsat ki ghadi ae karbala waalo khudahafiz
salaame aaqri hai ae karbala waalo khudahafiz
tumhaare saath zahra bhi yahaa'n tashreef laati thi
ye izzat bhi mili ae karbala waalo khudahafiz
hamaare ghar ki rounaq bhi tumhaare saath jaati hai
udaasi chaa gayi ae karbala waalo khudahafiz
kuch aansu aankh me kuch daagh hai maatam ke seene par
hai nazraana yahi ae karbala waalo khudahafiz
tumhaare gham me rote rote marjaate to acha tha
ye hasrat reh gayi ae karbala waalo khudahafiz
na hum se ho saka kuch bhi ada haq mezbaani ka
hai ye sharmindagi ae karbala waalo khudahafiz