boli maa kya hua sakina ko
ghash ye kyu'n aa gaya sakina ko
kyu'n ye qamosh ho gayi aaqair
kisne kya keh diya sakina ko
kya qabar is ko kya hua beta
dekho abid zara sakina ko
na shikaayat hai ab tamaacho'n ki
na rasan ka gila sakina ko
haaye ghurbat me cheen kar mujh se
le gayi kyu'n qaza sakina ko