Darouna jangal hai raat andheri sitaare kuch jhilmila rahe hai
pade hai rethi pa chand laashe jo apna gham aap khaa rahe hai
hai aisa bigda hua zamana, na gorhai aur na shaamiyana
falak pe abre siya ke lagke, udaasi ban ban ke cha rahay hai
darona jungal...
na koi laasho'n pe rone waala, no koi zakhmo ka dhone wala
parind kuch kar rahe hai naale, darind kuch qaak udaa rahe hai
darona jungal...
Shikista hatyaar kuch pade hai, ye log shayad yaha'n lade hai
lade to woh honge jo bade hai, nazar to bachche bhi aa rahe hai
darona jungal...
Haram pe kya guzri baad inke, nahi zaroorat ke koi pooche
jale hue jo pade hai khaime, woh unka lutna bata rahe hai
darona jungal...
Shafa-at-e hashr karne wale, kahi'n jo woh kar guzarne wale
ghayoor hai woh marne wale, jo humko abtak rula rahe hai
darona jungal...