boli zainab utho imdaad ko aao abbas
Zib'ha hota hai mera bhai bachaao abbas
sar to hai shaah ka ab sajdae qaaliq me jhuka
haath se shimr ke qanjar ko chudhaao abbas
ab saikina pa yateemi ka sitam toot gaya
ab taras khaao kaleje se lagaao abbas
aag qaime me lagaane chale aae aada
ghash me hai aabide beemaar jagaao abbas
jo rida hazrate zahra ki thi mere sar par
wo rida shimr ne chini hai dilaao abbas
laashe be sar se hai lipti hui nanhi bachi
aao naadaan sakina ko chudhaao abbas
saath ghurbat me ghareebo'n ka na chodho bhai
mai bulaati hu'n mere paas to aao abbas