Kya Alam-e-Tanhaye Hai Farzand-e-Nabi Par
Abbas Nahi Hai – Abbas Nahi Hai
Lo Qatm Huwa Dasht Me Shabbir Ka Lashkar
Besheer Ke Hulkum Par Ab Teer Chalega
Marjayega Pyasa
Pherega Ussi Halq Pa Qanjar Bhi Sitamgar
Wo Sar Jo Kabhi Zeenat-e-Aghosh-e-Nabi Tha
Ab Waqt Ye Aaya
Kat Jayega Ab Shirm Ke Kahnjar Se Wohi Sar
Har Simt Bhadak Outhenge Ab Agg Ke Shoule
Jal Jayenge Qaime
Chin Jayega Ab Abid-e-Bimar Ka Bistar
Royegi Sakina Tho Naye Zulm Ye Honge
Khayegi Tamache
Chinega Gouhar Kaano Se Ab Shimr Sitamgar
Ab Abid-e-Bimar Pa Tootegi Qayamat
Duroun Ki Aziyat
Jakdenge Ounhe Touq-o-salasil Me Sitamgar
Ban-jayenge Saidanioun Ke Bazu Rasan Me
Abbas Ke Bahene
Daabaro Me Barzaro Me Jayenge Khule Sar
Qaime Me Har Ek Simth Faqath Aaho-Bukha Hai
Ek Harsh Bapa Hai
Sab Ahle Haram Rote Hai Ahsan Yehi Khekar