Kanz e Aza

Ya Mustafa saws

A noha for Rasool-e-Khuda (s.a.w.s) (2016). Lyrics in Roman Urdu.

Ya mustafa..(4)


Ya mustafa... swalle a'la..(2)

Mehboob e haqq, khairul bashar, islam ke baani nabi

shams uz zuha, badr ud duja, noor e khuda, shaan e wali

zakhmi hai dil, zakhmi jigar, ye jaanta hai kab koi

wo ghum mile hai aap ko sadqe me hai saara jahan


Ya mustafa..(4)


Pyaare nabi ya mustafa

har aankh hai girya kuna


Ya mustafa..(4)


1. Kya mustafa ne ghum sahe, duniya ko kab maloom hai

sab ke liye rehmat hai jo, khud kis qadar mazloom hai..(2)

qurbaan sab kuch kar diya


Ya mustafa..(4)


2. Patthar use maare gaye jo rehmat e kaunain tha

taed ki galiyo me lahu

behta raha behta raha..(2) phir bhi nahi ki baddua


Ya mustafa..(4)


3. Ye sochte hai mustafa aaghosh mein shabbir hai

khanjar rawa gardan pe hai

zakhmi badan mein teer hai..(2)

aaegi ek din karbala


Ya mustafa..(4)


4. Beti pe mere baad phir har zulm dhaya jaega

mohsin shahadat paega

ghar ko jalaya jaega..(2)

subbat ilayya ki sadaa


Ya mustafa..(4)


5. Hasnain hai girya kuna nana ki mayyat dekh kar

baba chale hai chodkar

zehra ka hai muztar jigar..(2)

ab kya karegi fatima


Ya mustafa..(4)


6. Haider ki aankhein ashk hai taboot mein hai mustafa

zehra akeli rehgayi aur puchti hai maamta..(2)

wo shaam kufa karbala


Ya mustafa..(4)


7. Zainab ke lab par thi sadaa lut kar madine aagaye

kurta liya shabbir ka

marqad pe nana ki chale..(2)

mehshar bapa hone laga


Ya mustafa..(4)


8. Lega wo badla zulm ka ek din 'Mohammad' akhri

uski musibat likh sake

haq hai ali safdar yahi..(2)

maine qamar nauha likha


Ya mustafa..(4)


Pyaare nabi ya mustafa har aankh hai girya kuna


Ya mustafa..(4)