Kanz e Aza

Ya zahra

A noha for Shehzadi Fatima (s.a) (2016). Lyrics in Roman Urdu.

Ya zahra

Fatima zahra, fatima zahra, zahraaaa....

Fatima zahra, fatima zahra..(4)


Ya zahra.. Ya zahra... ..(2)

Aye meri bibi..(2)


tere darr pe isteghasa hai

tera mamnoon meri shehzaadi ye jahaa'n saara hai


zahra....

Ya zahra.. Ya zahra... ..(2)


1. Tu hame hifz aur amaa'n dede

apni chadar ka sayebaa'n dede

teri qudrat mein kya nahi bibi

tu jise chahe, do jahaa'n dede


Ya zahra.. Ya zahra

Aye meri bibi..(2)


Ansuo ne dua maangi hai, teri tasbeeh padhke dil ne tujhe pukara hai


zahra....

Ya zahra.. Ya zahra... ..(2)


2. Qarz maqrooz ka adaa karde

mufliso ka naseeb waa karde

jinki godi hari nahi bibi

unko aulad tu ataa karde


Ya zahra.. Ya zahra

Aye meri bibi..(2)


bus tuhi muraad deti hai

teri chaukhat dare ilaahi ka iste'aara hai


zahra....

Ya zahra.. Ya zahra... ..(2)


3. Farsh e majlis pe aur musalle par

har jawaa'n keh raha hai ro ro kar

hum rahe na rahe magar bibi

ta qayamat rahe ghum e sarwar


Ya zahra.. Ya zahra

Aye meri bibi..(2)


tere bachho ka ghum manate hai

apni aulaad se kai badhke ghum ye pyaara hai


zahra....

Ya zahra.. Ya zahra... ..(2)


4. Un shaheedo ka ye muqaddar hai

sayebaa'n inka teri chadar hai

inke seeno pe aye meri bibi

daaghe matam nishan e haider hai


Ya zahra.. Ya zahra

Aye meri bibi..(2)


khuld mein shaheed jab jaaye

teri awaaz aaye, aane do ye hamara hai


zahra....

Ya zahra.. Ya zahra... ..(2)


5. Khoon bankar rago mein hai nauha

meri naslo mein bhi rahe nauha

jaise maine padha hai bachpan se

mera naade ali padhe nauha


Ya zahra.. Ya zahra

Aye meri bibi..(2)


iske dil mein wilayat e haider

mere maa baap ki taharat ka ik ishara hai


zahra....

Ya zahra.. Ya zahra... ..(2)


6. Tere dil par hai jo sitam toote

zindagi mein jo tune ghum dekhe

aasmano zamee'n pe gar hote

misle shab wo siyaah hojate


Ya zahra.. Ya zahra

Aye meri bibi..(2)


dekh kar teri museebat ko

saare aalam ka dil masaeb se paara paara hai


zahra....

Ya zahra.. Ya zahra... ..(2)


7. Tujko ummat ne yu sataya hai, ya zahra

tujko ummat ne yu sataya hai

marge mohsin pe bhi rulaya hai

tujhko baba ke baad ummat ne

haaye darbaar mein bulaya hai


Ya zahra.. Ya zahra

Aye meri bibi..(2)


kitne sadme uthaye hai tune

jeeteji tujhko meri shehzadi ghum ne maara hai


zahra....

Ya zahra.. Ya zahra... ..(2)


8. Hai yehi mazhar aabidi ki dua

tere bachho ka ghum rahe zinda

saath irfan ke rahe jaari

tere sadqe mein kaarwan e azaa


Ya zahra.. Ya zahra

Aye meri bibi..(2)


tere darr pe sar jhukate hai

har hussaini ka tere tukdo pe hi guzara hai


zahra....

Ya zahra.. Ya zahra... ..(2)


Warq e matam shod aalam e baala

meer e mann maula...

sarwar e zahra

aaha wa waila..(2)