Salami Suve Maqtal Syed-E- Abraar Aate hai
Hathe-Li Par Dhare Sar Khalq Ke Sardaar aate hai
Hamaare Khwaab Me Jab Syed-E- Abraar aate hai
Mubaarak Baad Dene Taala-E Bedaar aate hai
Jigar Me Dard Lab Par Aah Aansoo Dono Aankhou'n Me
Bade Saamaan Se hazrath Ke Matamdaar aate hai
Is aane ke fida kis shaan se ran me hussain aaye
yuhi aate hai bas marne ko jo tayyar aate hai
Qayaale Shaah-E Waala Me Dil-E Muztar Yeh Kehta Hai
Uth Aye Dard-E Jigar Taazeem Ko Sarkaar aate hai
Sawaari Hai Yeh Akbar Ki Ke Qudrath Ka Namoona Hai
Shabaahath Keh Rahi Hai Ahmad-E Mukhtaar aate hai
Bade Faiyaaz hai Yeh Rone Waale Bhi Ke Majlis Me
Jab aate hai Lutaane Gowhar-E Shehwaar aate hai
Abhi Khaime Se Nikle Bhi Na The Ghul Machgayaa Run Me
Alambardaar aate hai Alambardaar aate hai
Andheri Raat Me Banu Yehi Keh-Keh Ke Roti Thi
Ke Akbar Yaad Tere Chand Se Rukhsaar aate hai