Pardes me zainab kho baithi atthaara baras ke paale ko
rote hai khade sab aale nabi atthaara baras ke paale ko
armaan na nikla bano ka , hai laash pe nouha bano ka
paayegi kahaa'n ye kookh jali,atthaara baras ke paale ko
dil thaam ke akbar ki maadar, sarwar se ye kehti hai rokar
kho aaye kahaa'n ae ibe ali , atthaara baras ke paale ko
naazo'n se muraado'n se paala, shaadi ki zamaana jab aaya
maidaan me kho kar baith gayi, atthaara baras ke paale ko
qismat ka karoo'n mai kis se gila, qidmat ka iwaz kuch bhi na mila
sehra bhi na zainab baandh saki, atthaara baras ke paale ko
shoukat ye qayaamat ka gham hai , shoukat ye ghazab ka maatam hai
baali pa khadi rote hai nabi, atthaara baras ke paale ko