Qaafela sheh ka salaami labe darya utra
par muqaddar me na ek paani ka qatra utra
karbala ka jo kisi shehr me naqsha utra
mujrayi bole zamee'n arshe mo'alla utra
imtehaa'n ki jo taraazu me qaza ne tola
Hur wafaadarie shabbir me poora utra
fouj manzil pa utar'ti to sakina kehti
saahibo dekho kidhar hai mera baba utra
gird beto'n ko phira kar ye kaha zainab ke
mera bhai ki bala rad ho ye sadqa utra
sajdae haq se nbi ne na uthaaya sar ko
pushte aqdas se na jab tak ke nawaasa utra