Kanz e Aza

Rasane zulm me nanhi si kalaai hogi

A salaam. Lyrics in Roman Urdu.

Rasane zulm me nanhi si kalaai hogi

mujrai kaise sakina ko kal aai hogi


naujawaa'n ne jo sinaa'n seene pa khaai hogi

mujrai qaime se zainab nikal aai hogi


shabe aashoor ye aati thi sadaae zahra

sub'ha ko mere bhare ghar ki safaai hogi


bibiyaa'n kehti thi ye raat ghaneemat jaano

kal to ek jaan pe laakho'n ki chadhaai hogi


naatawaa'n dekh ke abid ko ye bole rehgeer

haaye kisne ise zanjeer pinhaayi hogi